mere ghayab mein jis ne hansi uDai meri

mere ghayab mein jis ne hansi udai meri
kisi ne kya use haalat nahin batai meri

kashish ka radd-e-kashish hai amal ka radd-e-amal
badan se lamha-ba-lamha gurez-pai meri

main ek bar samundar ko jata dekha gaya
phir us ke ba'd kahin se khabar na aai meri

alag na kar saka ab tak main us ke ajza ko
baid kya hai ki hairat ho kimiyai meri

na kuchh ufuq ka pata hai na kuchh umud ka hai
na jaane kaisi faza mein hai par-kushai meri

main aap to kahin ab tak pahunch nahin paya
magar jagah jagah pahunchi hai na-rasai meri

mujhe to arsa-e-barzakh tha jaan-kani jaisa
qayamat aai to sanson mein sans aai meri

wazahat is ki koi aur kar sake to kare
meri samajh se to bahar hai be-nawai meri

hawa ke safhe pe fitrat-nigari karta rahun
shajar qalam hon samundar hon raushnai meri

nikal padunga wahan se phir agli duniya ko
kabhi jo ek jahan tak hui rasai meri

kiran se sans ka majmua nazm karta hun
hawa ko ilm hai talif hai ziyai meri

zamin ko jati hai 'shahid' na aasmanon ko
jis ek rahguzar par hai naqsh-pai meri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close