na khuda hai na nakhuda hai koi zindagi goya saneha hai koi na to be-qufl hai daricha-e-zehn na dar-e-dil khula hua hai koi na maza gumrahi mein milta hai na sambhalne ka rasta hai koi main ki tanha tha ab bhi tanha hun phir bhi mujh se bichhad gaya hai koi zat mat dekh karb-e-zat ko dekh kaise andar se tutta hai koi mubtala ruh ke azab mein hun kab se dil ko khurach raha hai koi jaane kis subh ki tamanna mein raat-bhar shama san jala hai koi fursat-e-zindagi bahut kam hai aur bahut der aashna hai koi tum bhi sachche ho main bhi sachcha hun kab yahan jhut bolta hai koi