meri jaan judai na hogi to hogi kisi din ladai na hogi to hogi unhen sharm hai aur yahan shauq-e-behad agar hatha-pai na hogi to hogi nahin itni jurat ki qadmon pe girye ki un se safai na hogi to hogi zara jazba-e-dil madad kar khudara jo un tak rasai na hogi to hogi na kuchh husn o khubi mein farq aaya hoga ye daulat lutai na hogi to hogi rihai asir-e-mohabbat ko tere agar maut aai na hogi to hogi nae zulm ijad karte raho tum jahan mein duhai na hogi to hogi nahin bak ghairon se milne mein un ko jo dil mein burai na hogi to hogi har ek baat par aafrin jab kahen sab to phir khud-satai na hogi to hogi mohabbat ki jo aankh thi aage teri jo tu ne churai na hogi to hogi mohabbat ka gar khul gaya haal un par to 'anjum' rukhai na hogi to hogi