na khule uqda-ha-e-naz-o-niyaz husn bhi raaz aur ishq bhi raaz raaz ki justuju mein marta hun aur main khud hun ek parda-e-raaz baal-o-par mein magar kahan paen bu-e-gul yani himmat-e-parwaz saz-e-dil kya hua wo tuta sa sari hasti hai gosh-bar-awaz lazzat-e-sajda-ha-e-shauq na puchh hae wo ittisal-e-naz-o-niyaz dekh ranai-e-haqiqat ko ishq ne bhar diya hai rang-e-majaz saz-e-hasti ka jaeza kaisa tar kya dekh tar ki aawaz