na-khush dikha ke jis ko naz-o-itab kije ai mehrban phir us ko khush bhi shitab kije jo apne mubtala hon aur dil se chahte hon lazim nahin phir un se rukiye hijab kije baithe jo sham tak hum bola wo mehrban ho jo khwahishen hain un ka kuchh intikhab kije hum ne 'nazir' hans kar us shokh se kaha yun hain khwahishen to itni kya kya hisab kije mauqe ki ab to ye hai jo waqt-e-shab hai ai jaan hum baithe panw daben aur aap khwab kije