kyun ki kahiye ki ada-bandi hai shaeri kya hai hawa-bandi hai kham-e-gesu ko chhua tha kis ke shab se gulshan mein saba-bandi hai kyunki hum khun na roen shab-e-id yar mashghul-e-hina-bandi hai dar pe baithe hain tere be-zanjir ye ajab tarah ki pabandi hai nahin padhta mera nuskha attar bas-ki masruf-e-dawa-bandi hai shokh mazmun se hazar karte hain sher mein jin ke haya-bandi hai muzhda ai hasrat-e-nazzara ki wan gird chilman ke rida-bandi hai har nafas taza ghazal kahte hain har nafas taza nawa-bandi hai 'mushafi' sher mein to yaad hamein zor-surat ki ada-bandi hai