na ki fikr din ki na ki raat ki

na ki fikr din ki na ki raat ki
tabhi to hui mo'tabar bandagi

wo khul kar nahin kar raha dushmani
kare bhi to aise mein kya aadmi

hamin ne rakha sar chadha kar use
hamari hi hone lagi kirkiri

tujhe faisle ka nahin ikhtiyar
tu kar guftugu ko abhi multawi

abhi tak to be-samt hai karwan
to kis kaam ki hai teri rahbari

khade hath dariya ne bhi kar diye
hui ru-baru jab meri tishnagi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close