pata hun lal taish mein jaan-e-haya ko main kaise zaban pe laun abhi mudda'a ko main mushkil ghadi hai le len 'aqaed ka imtihan tum hath-paon maro pukarun khuda ko main ek bar ki khata ho to laghzish bhi man lun har bar ho to kya kahun aisi khata ko main karta raha phir aaj ki shab bhi usi tarah jugnu ka intizar bujha kar diya ko main aisa kabhi gunah na kar baithun ai khuda munh bhi dikha sakun na phir ahl-e-wafa ko main jo rakh bhi kured ke sho'le nikal le pahchanta hun 'nazr' ek aisi hawa ko main