na kisi se karam ki ummid rakhen na kisi ke sitam ka khayal karen hamein kaun se ranj mile hain nae ki jo dil ke ziyan ka malal karen abhi sirf khayal hai khwab-numa abhi sarf-e-nazar hai sarab-numa zara aur kharab ho waz-e-junun to wo zahmat-e-pursish-e-haal karen wahi shahr hai shahr ke log wahi gham-e-khanda o sang o salib wahi yahan aae hain kaun se aise sakhi ki jo lutf-e-sukhan ka sawal karen sune kaun ye tana-e-chaara-gari sahe kaun ye dagh-e-kamal-e-rafu chalo dard-e-wajud jagaen sahar chalo zakhm-e-hayat bahaal karen