main jaanta hun wo nazdik o dur mera tha bichhad gaya jo main us se qusur mera tha jo panw aae the ghar tak mere wo us ke the wo dil badha tha jo us ke huzur mera tha bada ghurur tha donon ko ham-nawai par nigah us ki thi lekin surur mera tha wo aankh meri thi jo us ke samne nam thi khamosh wo tha ki yaum-e-nushur mera tha kaha ye sab ne ki jo war the usi par the magar ye kya ki badan chur chur mera tha