na koi aarzu jis mein ho wo ujda hua dil hun gharaz be-kar hun ek dam jala dene ke qabil hun tujhe ulfat adu ki hai adu ko teri ulfat hai na ab tu mere qabil hai na ab main tere qabil hun mujhe aasan na samjho apni chaukhat se utha dena badi mushkil se jo talti hai ai jaan main wo mushkil hun siyah-bakhti mein bhi main ne wo rang apna jamaya hai kisi ki aankh mein kajal kisi ke gal par til hun adu par zulm dhate ho na us ko qatl karte ho usi par hai tumhein dawa ki zalim hun main qatil hun halawat se adu ko aur mujhe talkhi se farmaya tumhein qand-e-mukarrar hon tumhein zahr-e-halahil hun nahin mumkin tamanna-e-mulaqat un se bar aae ki wo anjaan hain ai hazrat-e-'sabir' main an-mil hun