us ko pa jaun kabhi aisa muqaddar hai kahan aur utha lun us se dil ye zor dil par hai kahan ghut ke rah jae na sar hi mein kahin zauq-e-sujud main to sar har dar pe rakh dun par koi dar hai kahan naghma-rezi saz ki bazigari mutrib ki hai naghma koi be-nawa taron ke andar hai kahan us ke honton se jhalakti hai meri lab-tishnagi khinch rahi hai mai kahan par aur saghar hai kahan main wahan rahta hun gunjaish jahan meri nahin kya kahun kis ghar mein rahta hun mera ghar hai kahan khud ko dekha hai jab un aankhon mein jhanka hai 'muhib' mujh ko itna qurb khud se bhi mayassar hai kahan