na koi apna gham hai aur na ab koi khushi apni tumhin kah do ki hum kaise guzaren zindagi apni fareb-e-ham-safar hai aur rah-e-gham ka sannata munasib hai ki khud ho ai junun ab rahbari apni ujala mahfilon mein kar ke bhi aansu hi hath aae na ras aai kabhi khud shama ko bhi raushni apni guzarish hai ki ai mabud mujh ko zabt-e-gham de de na kar de fash raaz-e-arzu ko bekasi apni tadap jaega har dil shams' ka jab nam aaega numayan yun bhi hogi dastan-e-gham kabhi apni