dard-e-firaq dil se juda ho to jaaniye is ka ilaj is ki dawa ho to jaaniye go nama-bar ko naz hai apne bayan par paigham-e-shauq us se ada ho to jaaniye dard-e-firaq had se guzar kar thahar gaya kam ho to jaaniye jo siwa ho to jaaniye kya aap puchhte hain mere dil ka majra aisi hi aap par bhi jafa ho to jaaniye jo gham mujhe hain aap unhen ai janab-e-'nuh' kya jaaniye dil us ko diya ho to jaaniye