na koi din na koi raat intizar ki hai ki ye judai bharose ki e'tibar ki hai jo khak udi hai mere dukh samet lenge use jo bichh gai sar-e-manzar wo rahguzar ki hai wo wasl ho ki khule aaine pe aks-e-jamal ye aarzu hai magar baat ikhtiyar ki hai isi ka nam hai wahshat-sara-e-jaan mein charagh usi ke lams mein dhadkan dil-e-figar ki hai ye kaun tha jo sar-e-baam khud ko bhul gaya ye kis ka raqs tha, gardish ye kis ghubar ki hai ye kaun mujh mein hare mausamon utarta hai ye kaise rang hain khushbu ye kis dayar ki hai bujhane wale ne 'khawar' bujha diya hai charagh yahi thaharne ki saat yahi mazar ki hai