na rahe nama o paigham ke lane wale khak ke niche gae arsh ke jaane wale kishwar-e-ishq ki rasmen ajab ulti dekhin saltanat karte hain sab dil ke churane wale munimo aalam-e-duniya hai sara-e-ibrat jaenge su-e-adam khalq mein aane wale boriya sath na jaega na takht-e-sultan sab barabar hain bashar khalq se jaane wale koi baqi na raha hai na rahega koi be-nishan ho gae sab shan dikhane wale na sikandar hai na dara hai na qaisar hai na jam be-mahal khak mein hain qasr banane wale apne ashaar ka ai 'barq' na kyun shohra ho sath hain tair-e-mazmun ke udane wale