na koi hijr na koi visal hai shayad bas ek haalat-e-be-mah-o-sal hai shayad hua hai dair-o-haram mein jo moatakif wo yaqin takan-e-kashmakash-e-ehtimal hai shayad khayal-o-wahm se bartar hai us ki zat so wo nihayat-e-hawas-e-khadd-o-khal hai shayad main sath-e-harf pe tujh ko utar laya hun tera zawal hi mera kamal hai shayad main ek lamha-e-maujud se idhar na udhar so jo bhi mere liye hai muhaal hai shayad wo inhimak har ek kaam mein ki khatm na ho to koi baat hui hai malal hai shayad guman hua hai ye amboh se jawabon ke sawal khud hi jawab-e-sawal hai shayad