sitam-e-na-rawa ko rote hain charkh teri jafa ko rote hain khun rulwa rahi hai yaad-e-wafa ek sarapa-wafa ko rote hain is tarah aai waqt se pahle aane wali qaza ko rote hain ab ye us tak pahunch nahin sakta nala-e-na-rasa ko rote hain bah gaya aankh se lahu ho kar dil-e-dard-ashna ko rote hain jaan le kar gaya wo aakhir-e-kar maraz-e-la-dawa ko rote hain jaane wale ki ye nishani hai dekh kar naqsh-e-pa ko rote hain dard sa dard hai bhara us mein tute dil ki sada ko rote hain rote jo aae the rula ke gae ibtida intiha ko rote hain rang-o-bu ab kahan wo gul hi nahin is chaman ki hawa ko rote hain hai faza-e-chaman ghubar-alud hum mukaddar faza ko rote hain khak mein milne ko hai sab ka husn gul-e-rangin qaba ko rote hain mehndi pis kar lahu rulati hai pisne wali hina ko rote hain nafas-e-sard ye bani bhi to kya mauj-e-baad-e-saba ko rote hain bagh-e-alam mein is tarah be-did nagis-e-nim-wa ko rote hain chha gai kaisi tirgi un par mehr-o-mah ki ziya ko rote hain kaam aaya na ye kisi ke bhi khizr aab-e-baqa ko rote hain chup hain yun jaise in mein jaan nahin lab-e-mojiz-numa ko rote hain ab su-e-asman nahin uthta apne dast-e-dua ko rote hain jaan ko le ke sath jaana tha is dil-e-mubtala ko rote hain de gaya dagh-e-gham ye kaun 'riyaz' hum gham-e-der-pa ko rote hain