na koi jalwati na koi khalwati na koi khas tha na koi aam tha na koi husn tha na koi ishq tha na yahi nam tha na wahi nam tha na koi tha makin na koi tha makan na koi thi zamin na koi tha zaman na koi sharq tha na koi gharb tha na dam-e-subh tha na sar-e-sham tha azal la-yazal abad be-badal jo bane aaj-kal ufuq-sad-amal na kahin the khafi na kahin the jali na koi tha nishan na koi nam tha talab-e-muddaa hawas-e-narawa jo kabhi kuchh kaha wo hue be-maza wo baja-e-jaza sukhan-e-nastra shajar-e-hirs ka samar-e-kham tha jo lage aag bhi to na ho zau-fishan jo bujhe shoala bhi to na uthe dhuan na gila hijr ka na sila ishq ka ye wahi hukm tha jo mere nam tha jo bujhi sham-e-dil to badhi raushni jo piya zahr-e-gham to badhi zindagi ye tu hi ab bata zara munsifi ye tera kaam tha ki mera kaam tha sukhan-e-'arzu' chaman-e-arzu khutan-e-arzu adn-e-arzu ye dur-e-be-sadaf qamar-e-ba-sharaf na tah-e-khana tha na sar-e-baam tha