bare duniya mein raho gham-zada ya shad raho aisa kuchh kar ke chalo yan ki bahut yaad raho ishq-peche ki tarah husn-e-giraftari hai lutf kya sarw ki manind gar aazad raho hum ko diwangi shahron hi mein khush aati hai dasht mein qais raho koh mein farhad raho wo garan khwab jo hai naz ka apne so hai dad be-dad raho shab ko ki fariyaad raho 'mir' hum mil ke bahut khush hue tum se pyare is kharabe mein meri jaan tum aabaad raho