na koi KHwab na mazi hi mere haal ke pas

na koi khwab na mazi hi mere haal ke pas
koi kamal na thahra mere zawal ke pas

na mithe lafz na lahja hi indimal ke pas
jawab ka to guzar bhi nahin sawal ke pas

firaq o wasl ke mani badal ke rakh dega
tere khayal ka hona mere khayal ke pas

masarraton ke dukhon ka to zikr bhi bekar
kahan hai koi mudawa kisi malal ke pas

nahin hai koi bhi sarhad mere junun aage
jahan-e-husn-e-jahan hai tere jamal ke pas

shikariyon ki ummiden sanwarti rahti hain
tuyur ghumte phirte hain khub jal ke pas

tumhaare lafz use khinchte to the 'shahpar'
junub kaise pahunchta magar shumal ke pas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close