so raha hun main ki ye jaga hua sa khwab hai la-shuuri wusaton mein unghta sa khwab hai mukhtasar hain zindagi ke din magar raaten tawil bewafa aankhon ko hasil ba-wafa sa khwab hai ek manzar ko mukammal dekhta hai kaun ab koi sunta hai kahan kya gunjta sa khwab hai nag hai saya-fagan sar par hun main mahw-e-khiram mujh apahij ko mayassar shankar-asa khwab hai shairi mein anfus o aafaq mubham hain abhi istiara hi haqiqat mein khuda sa khwab hai kham hai 'kawish' hamara khwab din mein dekhna shaikh-chilli aur sab ka be-tuka sa khwab hai