na koi monis-o-hamdam na koi yawar tha

na koi monis-o-hamdam na koi yawar tha
rafiq-e-gham jo mera tha to qalb-e-muztar tha

kisi ke husn-e-fusun-gar mein ye bhi jauhar tha
ki ab wo mom hua hai kabhi jo patthar tha

tumhaare ishq ne fikr-o-nazar ko wusat di
rah-e-hayat mein chalna to warna dubhar tha

abas khulus-o-murawwat ko tum ne chhod diya
urus-e-zist ka logo yahi to zewar tha

ye taj taj-mahal ishq ki badaulat hai
wagarna ye to faqat qasr-e-sang-e-marmar tha

tumhaara nam hi mera rafiq-e-jaan thahra
tumhaara gham hi meri zindagi ka mehwar tha

isi sabab to main kal shab hua tha nam-dida
meri nazar mein teri rukhsati ka manzar tha

nigah-e-ahl-e-khirad mein na jis ki qimat thi
nigah-e-ahl-e-junun mein wo sab se behtar tha

mujhe bhi manzil-e-maqsud mil gai 'sajid'
har ek qadam pe mera azm mera rahbar tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close