virana-e-hasti mein jo kal rah-numa tha kyon aaj wo apna hi pata puchh raha tha murjha ke bikhar jaana hi taqdir thi us ki wo phul sar-e-shakh-e-tamanna jo khila tha tha kucha-e-dildar mein ek sehr ka aalam jo mujh ko nazar aaya wo apna sa laga tha us ne hi meri fikr ko bakhshi hai hararat ek aag ka dariya jo kabhi par kiya tha wo baat na karta yahi behtar tha sar-e-bazm is barf se lahje mein to ek shoala chhupa tha hain yaad khad-o-khal na ab us ka sarapa wo jis ki hatheli pe mera nam likha tha be-wajh koi khud ko mitata nahin 'sajid' marna hai agar kufr to jina bhi saza tha