na koi nilam na koi hira na motiyon ki bahaar dekhi samundaron ki tahon mein utra to pattharon ki qatar dekhi main apne gulshan mein mausamon ke azab gin gin ke thak gaya hun main kaise kah dun bahaar aai main kaise kah dun bahaar dekhi main gham ka sahra ubur karne ke baad khud se bichhad gaya hun ajib rah-e-najat nikli ajib rah-e-farar dekhi hawa ka daman lahu lahu tha faza ke andar ghutan ghutan thi gulal mitti mein ret udti hui sar-e-rahguzar dekhi