na koi tir na koi kaman baqi hai

na koi tir na koi kaman baqi hai
magar wo ek nigah-e-mehrban baqi hai

uda ke le gain hijrat ki aandhiyan sab kuchh
bas apne sar pe khula aasman baqi hai

ek aur tir chala apna ahd pura kar
abhi parinde mein thodi si jaan baqi hai

faza mein gunj rahi hai sada-e-mazluman
zaban khamosh hai lekin bayan baqi hai

mita saka na kabhi waqt ka ghubar use
fasil-e-shab pe lahu ka nishan baqi hai

hamare shahr pe viraniyan musallat hain
makin to koi nahin hai makan baqi hai

nafas nafas hai wahi aazmaishon ka safar
qadam qadam pe wahi imtihan baqi hai

masal ye sach hai ki rassi ke bal nahin jate
ukhad chuki hai hawa aan-ban baqi hai

ata hui hai hamein aisi jurat-e-parwaz
ki par shikasta hain lekin udan baqi hai

kisi kinare laga degi mehrban hawa
shikasta naw sahi baadban baqi hai

dua ke hath bhi shal ho gae magar ai 'naz'
wahi zamin wahi aasman baqi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close