ujala jab shab-e-zulmat par utarta hai wo harf harf meri zat par utarta hai us ek rang pe qurban dil ke sab mausam jo rang shiddat-e-jazbaat par utarta hai wo khwab-gah ki raunaq wo chand jaisa badan kabhi hayat kabhi zat par utarta hai sukhan-waran-e-kuhan us pe rashk karte hain jo dard parcha-e-abyat par utarta hai kabhi-kabhaar to suqraat ki rida ban kar shuur-e-fikr tilismat par utarta hai