na kuchh sawal kiya aur na kuchh gila mujh se ajib shakhs tha mil kar bichhad gaya mujh se tu apni zat mein ek manzil-e-wafa hai magar main wo charagh ki raushan hai rasta mujh se kisi ne chhin li binai meri aankhon ki kisi ne aaina mansub kar diya mujh se maza to jab hai teri justuju mein jaan-e-bahaar mere wajud ka ho jae samna mujh se bujha diya to andheron ne aa ke gher liya jala diya to ulajhne lagi hawa mujh se wo sab se chhup ke mere ghar to aa gaya lekin supurdagi ka taqaza na kar saka mujh se jawab kuchh bhi diya jae gham nahin 'manzar' sawal ye hai ki puchhega kya khuda mujh se