na kuchh ziyaada na kuchh kam tere hawale se wahi hai dard ka aalam tere hawale se khule jo zakhm ke tanke to ye hua mahsus saba ne rakh diya marham tere hawale se wahi hai dil ka tadapna wahi hai kaifiyyat wahi mizaj hai paiham tere hawale se chali hai hijr ke mausam mein jab bhi purwai hui hai aankh meri nam tere hawale se khizan ka zikr to meri zaban pe tha hi nahin bahaar karti hai matam tere hawale se meri hayat thi khushiyon se ham-kanar magar hue hain dard munazzim tere hawale se tera hawala diya tha ki yak-ba-yak 'majid' zamana ho gaya barham tere hawale se