pata hun iztirab rukh-e-pur-hijab mein shayad chhupa hai dil mera un ki naqab mein su-e-falak wo dekhen agar pech-o-tab mein barpa ho hashr gahan lage aaftab mein wo chandni mein rukh se hata den agar naqab lag jaen chaar-chand rukh-e-mahtab mein ai na-khuda-e-kashti-e-dil dekh-bhaal ke tufan chhupe na hon kahin qalbe-habab mein sabr-azma nigahon ka sadqa idhar bhi dekh phir kuchh kami si pata hun ab iztirab mein ek tum hi aae dard ki duniya basa gae warna raha tha kya dil-e-khana-kharab mein 'iqbaal' in ki mast-nigahon ka faiz hai mera jahan-e-shauq hai duba shabab mein