na lazim tawaqqoa hai ahal-e-mahal se karo zist shadab ilm-o-amal se hijab-o-haya sochte rah gae hain mili ishq mein kaamyabi pahal se yun nakaamiyan ham-safar hain musalsal ki le de ke ummid hai ab ajal se hayat-o-fana ka ye kya silsila hai nahin raaz afshan hua ye azal se yatimi-o-la-warsi bewgi ke ba-juz kuchh na hasil hai jang-o-jadal se