chand kamre ki khidki mein thahra raha chandni raat jadu jagane lagi chandni mere bistar talak aa gai aur aankhon se ninden udane lagi yaad ki diary main ne kholi hai jab sukhe phulon se khushbu si aane lagi tez aandhi si chalne lagi dard ki aur ek ek waraq ko udane lagi khul rahe hain khayalon ke sab baadban kashtiyan sahilon ki taraf hain ruli nilgun nilgun sina-e-ab par chandni ki kiran chamchamane lagi mausam-e-gul ke mahke qadam aa gae dali dali dhanak rang aanchal ude mere ganw mein chupke se aai saba yaad gulshan ki mujh ko satane lagi budhe pipal ki chhanw mein tuta hua ek gharaunda hai mitti ka baqi abhi meri bachpan ki ek ek kahani mujhe de ke aawaz wapas bulane lagi meri sanson mein mahka kare hai koi dil ki dhadkan mein dhadka kare hai koi aankh ki putliyon mein basa hai koi main jo ghabra ke palken jhukane lagi aam ki mithi khushbu faza mein udi jaise kanon mein shahnaiyan baj uthin jaise sajan ka aaya sandesa sakhi gori hathon mein mehndi rachane lagi main ki giton ki jogan hun 'husna' sada fan ke sahra mein dar-dar bhatakti phirun mujh ko manzil ki rahti hai har pal lagan ek jalan mere man ko jalane lagi