na mahfil aisi hoti hai na khalwat aisi hoti hai mere mabud kya jine ki surat aisi hoti hai bas ek kaifiyyat-e-khud-raftagi tanhaiyan apni hamein milti hai fursat bhi to fursat aisi hoti hai ye duniya sar-ba-sar ranginiyon mein dub jati hai teri qamat ki har shai mein shabahat aisi hoti hai dar-o-diwar par bas ek sannate ki raunaq hai mere mehman se puchho ghar ki jannat aisi hoti hai kahan apni siyah-kari kahan ye teri masumi tujhe dekha nahin jata nadamat aisi hoti hai koi dekhe tujhe to az-sar-e-nau zindagi mange riwayat jhut hai qatil ki surat aisi hoti hai ye majburi, mohabbat bhik jaisi bhi gawara hai kabhi din raat ko teri zarurat aisi hoti hai bichhad kar tujh se milne ki masarrat bhul jata hun ki mil kar phir bichhadne ki aziyyat aisi hoti hai