na malal-e-hijr na muntazir hain hawa-e-sham-e-visal ke hum asir apni hi zat ke kisi khwab ke na khayal ke mere shauq-e-sair-o-safar ko ab nae ek jahan ki numud kar tere bahr o bar ko to rakh diya hai kabhi ka main ne khangal ke wo hamin the jin ke kamal ki hai ye kaenat bhi mo'tarif wahi hum ki aaj tamash-bin hue khud hi apne zawal ke jo nawah-e-jaan mein muqim hain unhin mausamon ka tilism hai kabhi jam uchhaale nashat ke kabhi rang udae malal ke wahi subh o sham ke marhale wahi khal o aab ke silsile wahi qisse nan-o-namak ke hain wahi jhagde mal-o-manal ke tera aaina hun main zindagi tere aks ka main amin hun hai meri shikast tera ziyan mujhe rakh bacha ke sambhaal ke mere kar-zar-e-hayat mein na koi najib na kam-nasab yahan nam sirf hunar ka hai yahan charche bas hain kamal ke nahin gardishon mein jo waqt ki ho ata wo saat-e-mawara na to ibtida ho na intiha na hon silsile mah o sal ke