na mere dil na jigar par na dida-e-tar par karam kare wo nishan-e-qadam to patthar par tumhaare husn ki taswir koi kya khinche nazar thaharti nahin aariz-e-munawwar par kisi ne li rah-e-kaba koi gaya su-e-dair pade rahe tere bande magar tere dar par gunahgar hun main waizo tumhein kya fikr mera muamla chhodo shafi-e-mahshar par un abaruon se kaho kushtani mein jaan bhi hai isi ke waste khanjar khincha hai khanjar par pila de aaj ki marte hain rind ai saqi zarur kya ki ye jalsa ho hauz-e-kausar par salahiyat bhi to paida kar ai dil-e-muztar pada hai naqsh-e-kaf-e-pa-e-yar patthar par wafur-e-josh-e-ziya aur un ke danton ka habab-e-gumbad-e-gardun hai aab-e-gauhar par akhir waqt hai 'asi' chalo madine ko nisar ho ke maro turbat-e-payambar par