haq pasandon se jahan bar-sar-e-paikar sahi kuchh dinon aur bhi ruswa sar-e-bazar sahi khun-e-masum se tamir hai bustan-e-wajud ishrat-e-dahr se mahrum wafadar sahi jehd-o-isar se raushan hai wafa ki qindil dil-girafta haram-e-pak ka meamar sahi mera iman hai elan-e-haqiqat karna lakh mansur ki khatir rasan-o-dar sahi azm-e-rasikh hai to har gam hai manzil ba-kanar wahshat-asar siwa darra-e-dushwar sahi aabla-pa se bujhate hi chalo tishna-labi mumtahin jada-e-auqat ka har khar sahi badh ke lena hai hamein jurat-e-isar se kaam hail-e-rah-e-junud-e-gham-o-azar sahi dal do bahr-e-hawadis mein khuda par kashti na-khuda dam-e-tawahhum mein giraftar sahi rahbar jazba-e-sadiq dil-e-masum ka hai har nafas zist ka ek manzil-e-dushwar sahi sarfaroshan-e-watan aaj watan ki khatir ek gulzar ho tamir sar-e-dar sahi husn-e-akhlaq se 'bebak' raho sina-sipar dast-e-aghyar mein shamshir-e-sharar-bar sahi