na mere dil ne na idrak nukta-ju ne kiya

na mere dil ne na idrak nukta-ju ne kiya
khuda gawah hai jo kuchh kiya wo tu ne kiya

farefta mujhe aalam ke rang-o-bu ne kiya
bada sitam tere milne ki aarzu ne kiya

lihaz-e-daman-e-qatil mere lahu ne kiya
khayal-e-shart-e-adab khud rag-e-gulu ne kiya

khud apni zist ka parda tha jab alag ye hua
hijab dur jamal-e-rukh-e-niku ne kiya

bahaar aai to kya na-shagufta-khatir ko
fasurda aur bhi is mausam-e-numu ne kiya

harim-e-quds mein pahunchaegi shahadat khud
ki meri ruh ko tahir mere lahu ne kiya

tumhaari chaaragari ko salam hai mera
ki ek zakhm ko sau zakhm ek rafu ne kiya

wo kyunkar aa ke mile khud ye haal mujh se na puchh
barae-maqsad-e-dil tark aarzu ne kiya

jo zahidon ne na baatin ko dho ke saf kiya
to koi kaam na zahir ki shust-o-shu ne kiya

juz apne dil ke na paya kisi ne us ka nishan
hazar aql ko aawara justuju ne kiya

badi umid bandhi be-bason ko mahshar mein
ajab karishma tere tarz-e-guftugu ne kiya

kahunga yar se main saf saf hashr ke din
ki mujh se hijr mein jo kuchh hua wo tu ne kiya

baja rahe na mere aql-o-hosh ai 'betab'
ghazab ka mast mujhe pahle hi subu ne kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close