na mere khwab ko paikar na khadd-o-khal diya bahut diya to mujhe mauqa-e-visal diya mila na ruh na dil ka koi hisab magar ye kar-e-zist kisi taur se sambhaal diya tamam-umr ki bechainiyon se kuchh na hua mere junun ko khirad kah ke us ne tal diya kisi nigah ne ummid ko diya chehra kisi shabih ne sab se hasin khayal diya mere uyub ki taswir is tarah khinchi mere hunar ko pas-e-pusht us ne dal diya kai khayal jo aawara-khu the sarkash the unhen bhi sher ke sanche mein hum ne dhaal diya usi ne sar pe bithaya tha jis ne aaj 'naim' samajh ke panw ka kanta mujhe nikal diya