na meri baat hi samjha na mera muddaa samjha

na meri baat hi samjha na mera muddaa samjha
suna qissa magar kya jaane us zalim ne kya samjha

safina par us ka ho gaya bahr-e-mohabbat se
har ek mauj-e-talatum-khez ko jo nakhuda samjha

ye alhad-pan hai zalim ka ki hai ye be-rukhi us ki
abhi tak muddaa mera na wo jaan-e-wafa samjha

na jannat ki tamanna hai na us ko hur ka lalach
ghalat matlab are nadan tu ne shaikh ka samjha

firaq-e-yar mein bhi nind si kuchh aa gai mujh ko
shab-e-gham ye sukun pa kar karam be-dard ka samjha

tabiat hi to hai zalim ne matlab meri baaton ka
bhala chaha bhala samjha bura chaha bura samjha

dobara kucha-e-mahbub mein jaane ki zahmat kar
payam-e-ishq bittafsil un ko ai saba samjha

jise dekho wo thukra kar guzar jata hai turbat ko
na duniya ne shahidan-e-wafa ka martaba samjha

haqiqat mein ye kaba hai jahan karta hun main sajde
ye teri bhul hai zahid jo is ko but-kada samjha

but-e-kafir ke mahfil mein aachanak chadh gae tewar
hamare arz-e-maqsad ko khuda jaane wo kya samjha

katata hai gala hans hans ke us ke ek ishaare par
usi ko be-murawwat ne hamesha bewafa samjha

hazaron qafile lute hain jis ne rah-e-ulfat ke
dil-e-masum ne 'ahmar' usi ko rahnuma samjha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close