na jaega kisi ke gesuon ka kham-ba-kham hona bahut mushkil hai mere shauq ki uljhan ka kam hona sanam-khana ho ya kaba jhuka dunga jabin apni agar sabit hua mujh par tera naqsh-e-qadam hona bhala kyunkar wo bachta aap ke dam-e-mohabbat se muqaddar hi mein tha jis ke asir-e-ranj-o-gham hona na itni de ki main bahkun na tishna-lab rahun saqi ba-qadr-e-zarf saghar de bura hai besh-o-kam hona nazar walon se puchho tum bulandi ku-e-jaanan ki tajjub kya hai us ka ghairat-e-bagh-e-iram hona faqat ye soch kar aansu bahata hun shab-e-furqat kabhi to rang laega mera ye chashm-e-nam hona chaman ke gosha gosha mein faqat bijli ka charcha hai kuchh aisa rang laya hai mera jal kar bhasam hona tah-e-khanjar bhi honton par mere aaya to ye aaya mubarak ho sitam-ijad ko ahl-e-sitam hona khayal-e-hur mein din-raat wo badmast rahta hai nahin kuchh kaam aaya shaikh ka ahl-e-haram hona tawaqqo rahm ki us se na rakh tu ai dil-e-nadan kabhi mumkin nahin jallad ka ahl-e-karam hona ada karke rahunga ek din main is farize ko agar taqdir mein hi likh gaya hai sar qalam hona hazaron ranj-o-gham sah kar bhi main hansta hun ai 'ahmar' bashar ke waste hai lazmi sabit-qadam hona