na-mukammal hain abhi takmila-e-zat karen in ko dekhen to khud apne se mulaqat karen aap aaen to zara aap se kuchh baat karen hont si len magar aankhon se sawalat karen gardishon se ye kaho rukh na karen ghar ki taraf ab wo hum se sar-e-mai-khana mulaqat karen aap ke bare mein socha to bahut tha lekin ab hum is soch mein hain aap se kya baat karen rukh pe kya rang hai kaisi hai in aankhon ki faza dil jo thahre to kuchh andaza-e-haalat karen ghar ki tanhai se kyon itne pareshan ho 'ziya' aao ek but ke hawale se basar raat karen