hasrat-e-intizar-e-yar na puchh hae wo shiddat-e-intizar na puchh rang-e-gulshan dam-e-bahaar na puchh wahshat-e-qalb-e-be-qarar na puchh sadma-e-andalib-e-zar na puchh talkh anjami-e-bahaar na puchh ghair par lutf main rahin-e-sitam mujh se aaina-e-bazm-e-yar na puchh de diya dard mujh ko dil ke ewaz hae lutf-e-sitam-shiar na puchh phir hui yaad-e-mai-kashi taza masti-e-abr-e-nau-bahaar na puchh mujh ko dhoka hai tar-e-bistar ka na-tawani-e-jism-e-yar na puchh main hun na-ashna-e-wasl hunuz mujh se kaif-e-visal-e-yar na puchh