na mushk-bu hai na hai zafran ki khushbu harim-e-jaan mein hai ek mehrban ki khushbu main dekhti hi nahin khwab unche mahlon ke mujhe pasand hai kachche makan ki khushbu isi zamin mein ek din panah leni hai ki is zamin mein hai aasman ki khushbu kahin bhi jaun mere sath sath rahti hai kisi ki yaad kisi ke dhyan ki khushbu mere gulab se chehre pe kya kahun kaise bahaar-e-nau hai mere khandan ki khushbu kisi se milne ke baad aa gaya yaqin mujh ko dilon ko chhuti hai mithi zaban ki khushbu pukara jab bhi kisi ne mujhe wafa kah kar badal gai hai yaqin mein guman ki khushbu