aate hain kitne khwab tere roz-o-shab mujhe wahshat si hone lagti hai koi ajab mujhe tum ko main gar qubul hun aise hi thik hun aata nahin sanwarne ka koi bhi dhab mujhe zalim hai baadshah ki hai sab pe furaat band mahsus ho rahe hain sabhi sukhe lab mujhe bas kuchh dinon ki baat hai main laut aaungi hargiz sada na de koi pichhe se ab mujhe ye dekhna hai kaun mera is jahan mein yaqub ki to aankhen ata kar ai rab mujhe wo shakhs jab ki ab to meri dastaras mein hai karni nahin hai aur kisi ki talab mujhe bandi ki tarah qaid hun us ke huzur main wo baadshah hai aur milega hi kab mujhe