na nazar ki dida-wari rahi na jigar ki be-jigari rahi magar ahl-e-dawa-e-shauq se teri barham-e-naz bhari rahi kabhi jag utha kabhi so gaya kabhi khil utha kabhi kho gaya dil-mast jam-e-jamal ko na khabar na be-khabari rahi ye ajab hawas ka dayar hai yahan aam ana ka khumar hai mujhe apne sahra se pyar hai mujhe ras dar-ba-dari rahi na dil-o-dimagh ko hai sukun na zaman makan ko qarar hai main safar mein hun ki hazar mein hun meri zindagi safari rahi kahin chand jugnu parinda rut kahin rang dhup dhanak nirt mere daur mein dil-e-muztarib ye ghazal ki shishagari rahi yahan makr bhi hai jadal bhi hai yahan bal ke sath mein chhal bhi hai fan-e-tesha-gar ke kamal se zan-e-hila-gar hi khari rahi ye tabassum-e-sar-e-anjuman wo adawaton ke dilon mein phan nae daur mein nai nasl ki yahi shan-e-dida-wari rahi jo khuda-shanas nahin hua kabhi khud-shanas na ho saka wo jo munkirin-e-khuda hue unhen khud se be-khabari rahi mere fan ke zauq-e-latif ko sanad ahl-e-zauq ki chahiye magar aaj tak sar-e-anjuman ye talab dhari ki dhari rahi jo the taliban-e-ilaj-e-gham unhen gahri nind sula diya na maraz raha na mariz hi ye ghazab ki chaaragari rahi