na nikla munh se kuchh nikli na kuchh bhi qalb-e-muztar ki kisi ke samne main ban gaya taswir patthar ki khuda se kyun na mangun wah main bandon se kya mangun mujhe mil jaegi jo chiz hai mere muqaddar ki tasawwur chahiye ai shaikh sab ka ek ima hai sada hai parda-e-naqus mein allahu-akbar ki dil-e-rahat-talab ko qabr mein kya be-qarari hai mujhe ghabrae deti hai udasi is nae ghar ki kaleje mein hazaron dagh dil mein hasraten lakhon kamai le chala hun sath apne zindagi bhar ki sambhal kar dekhna aaraishon ke baad aaina ye aaina nahin hai ab ye tukde hai barabar ki mere ashaar 'shair' dagh o aasif jah se puchho ki shah o jauhri hi jaante hain qadr gauhar ki