jazire ki tarah meri nishani kis liye hai mere chaaron taraf pani hi pani kis liye hai main aksar sochta hun dil ki gahrai mein ja kar zamin par ek chadar aasmani kis liye hai ba-zahir pur-sukun aur dil ki har ek rag salamat to zer-e-sath-e-dariya ek rawani kis liye hai main tuta hun to apni kirchiyan bhi jod lunga bikharne par mere ye shadmani kis liye hai ye dil be-hausla dil mere kahne mein nahin jab to apne dil ki main ne baat mani kis liye hai karen lahje badal kar guftugu ek dusre se hamare darmiyan ye be-zabani kis liye hai sabhi kirdar apna kaam pura kar chuke hain to aakhir na-mukammal ye kahani kis liye hai