na paya khoj barson naqsh-e-pa-e-raftagan dhundhe na ho mumkin pata jin ka unhen koi kahan dhundhe talash is tarah bazm-e-aish mein hai be-nishanon ki koi kapde mein jaise zakhm-e-sozan ka nishan dhundhe hum us ke zikr hi se khush kiya karte hain dil apna sahaara jaise tinke ka ghariq-e-nim-jaan dhundhe kidhar ko ruth kar jata raha ahd-e-shabab apna na paya is musafir ko hazaron karwan dhundhe uthana ho subuk aadam pe jab bar-e-amanat ka kahan se phir koi is ke liye bar-e-giran dhundhe girah sanson mein dali hai 'hawas' ifraat-e-girya ne na aah-e-na-tawan aane ko lab tak nardban dhundhe