qamar ki wo khurshid taswir hai gale mein sitaron ki zanjir hai kahan pa-e-jaanan kahan mera sar ye tale ye qismat ye taqdir hai khafa aap se aap hote ho kyun bata do jo kuchh meri taqsir hai na kholo khat us ka dhadakta hai dil khuda jaane kya is mein tahrir hai numayan hai qaus-e-quzah abr mein misi par likhaute ki tahrir hai munasib hai kuchh kha ke mar jao 'barq' yahi dard-e-furqat ki tadbir hai