na phul hun na sitara hun aur na shoala hun guhar hun dard ka aur ashk ban ke rahta hun wo ek bachcha hai hasrat se dekhta hai mujhe main us ke hath mein tuta hua khilauna hun ye soch kar ki bichhadna hai ek din khud se main apne-ap se pahron lipat ke roya hun ajib shakhs meri zindagi mein aaya tha na yaad rakhun use aur na bhul sakta hun laraz rahi hain meri ungliyan qalam thame na jaane aaj main kya baat likhne wala hun mujhe pukar ki main dub hi na jaun kahin main be-qarar samundar mein ek jazira hun guzar chuke hain bahut karwan idhar se 'sarosh' magar main apne hi gard-e-safar se lipta hun